Pet Kam Karne Ke Upay : Motapa kaise ghataye?? यहाँ पर मोटापा घटाने के उपाय आप जानेंगे| वजन कब बढ़ जाता है और चर्बी कब जमा हो जाती है यह पता नहीं लगता है मगर जब कपड़े टाइट होने लगे और पेट आगे की और बड़ आए तब पता चलता है की
आप मोटे हो गये है.
Vajan kab badh jaata hai aur charbi kab jama ho jaati hai yeh pata nahin lagta hai magar jab kapde tight hone lage aur pet aage ki aur nikal aaye tab pata chalta hai ki aap mote ho gaye hai.
अब वजन बढ़ाना आसान है मगर जमे हुए चर्बी को पिघलाना इतना आसान नहीं है. पेट को कम करने के लिए व्यायाम करना पड़ता हो जो सब लोगो की बस की बात नहीं है.
Ab vajan badhana aasaan hai magar jame hue charbi ko pighlana itna aasaan nahin hai. Pet ko kam karne ke liye kathor vyaayaam karna padta hai jo sab logo ki bas ki baat nahin hai.
घबराइए नहीं, यहाँ पर मोटापा घटाने के उपाय आप जानेंगे जिस में अधिक व्यायाम की ज़रूरत नहीं है. इन मोटापा घटाने के घरेलू उपाय के द्वारा आप फिर
से स्वस्थ और संतुलित शरीर पाएँगे.
- Gabhraiye nahin, yahan par motapa ghatane ke upay aap janege jis mein adhik vyaayaam ki jaroorat nahin hai. In motapa ghatane ke gharelu upay dwara aap phir se swasth aur santulit sharir paayenge.
- सवेरे उठ के खाली पेट करेले का जूस पीना याने आप चर्बी को आसानी से पिघला सकते है.
- Savere uth ke khaali pet karele ka juice peena yaane aap charbi ko aasaani se pighla sakte hai.
- दिन भर गरम पानी का सेवन करे. गरम पानी में नींबू और अदरक का रस हो तो और भी बेहतर है. काली मिर्च डाले तो गुण और बढ़ जाएँगे. गरम चाय, बिना दूध और शक्कर के आप सेवन करे तो भी यह फ़ायदा मिलेगा. गरम पानी से पाचन तंतरा सुधर जाता है और गतिविधि बढ़ती है जिस से आप का शरीर चर्बी को अच्छी तरह से उपयोग करके जला देता है.
- Din bhar garam paani ka sevan kare. Garam paani mein nimbu aur adrak ka ras ho to aur bhi behtar hai. Kaali mirch daale to gun aur badh jaayenge. Garam chai, bina doodh aur shakkar ke aap sevan kare to bhi isse fayda milega. Garam paani se pachan tantra sudhar jaata hai aur gatividhi badhti hai jis se aap ka sharir charbi ko achchi tarah se upyog karke jala deta hai.
- पेट कम करने के घरेलू उपाय में एक श्रेष्ट उपाय है की आप हर रोज भोजन के साथ कच्चे पपीता का सेवन करे. कदु कस कर के खाए. खाना खाने के बाद पक्का पपीता खाने से भी अत्यंत लाभ होता है.
- Pet kam karne ke upay in hindi mei ek shresht upay hai ki aap har roz bhojan ke saath kachche papite ka sevan kare. Kaddukas kar ke khaaye. Khaana khane ke baad pakka papita khane se bhi atyant laabh hota hai.
- मोटापा कैसे कम करें इस प्रश्न से परेशान ना रहे. बस, शौक से दही का सेवन करे. छाछ बना के पिए तो भी उत्तम है मगर ध्यान रहे की शक्कर (चीनी) का उपयोग ना करे.
- Motapa kam kaise kare is prashna se pareshan na rahe. Bas, shok se dahi ka sevan kare. Chaach bana ke piye to bhi uttam hai magar dhyan rahe ki shakkar (chini) ka upyog na kare.
- मोटापा कम करने के घरेलू उपाय में अब चीनी की ही बात करे तो इस को अपने जीवन से बिल्कुल दूर हटा दे और इस के बदले stevia powder का उपयोग करे जो कुद्रती शक़ऱ पदार्थ है जिस में calories बिल्कुल नहीं होते है.
- Motapa kam karne ke gharelu upay mein ab chini ki hi baat kare to is ko apne jeevan se bilkul dur hata de aur is ke badle stevia powder (meethi patti powder) ka upyog kare jo kudrati shakkar padarth hai jis mein calories bilkul nahin hote hai.
- आप ने देखा होगा मज़दूर लोगों का और खेतो में काम करने वाले लोगों का और गाँव में रहने वालो का पेट कभी बढ़ा हुआ नहीं होता है. इस का राज़ है प्याज़, लहसुन और हरी मिर्च. आप भी इन तीन तत्वो का हर रोज कच्चा ही सेवन करे, चट्नी के रूप में या तो किसी और तरीके से और रहे चर्बी से मुक्त.
- Aap ne dekha hoga mazdoor logon ka aur kheto mein kaam karne vale logon ka aur gaon mein rehne vaalo ka pet kabhi badha hua nahin hota hai. Is ka raaz hai pyaaz, lehsun aur hari mirch. Aap bhi in teen tatvo ka har roj kachcha hi sevan kare, chutney ke roop mein ya to kisi aur tarike se aur rahe charbi se mukt.
- हर रोज सवेरे उठ के करेले का जूस पीने की आदत डाले और इस के साथ लौकी, चुकंदर, गाजर और पत्तागोभी को भी अगर शामिल करे तो और भी फ़ायदा होता है.
- Har roj savere uth ke karele ka juice peene ki aadat dale aur is ke saath lauki, chukandar, gajar aur pattagobhi ko bhi agar shamil kare to aur bhi fayde hota hai.
- दोपहर को भोजन करने के बदले कच्चे सब्जी जैसे की खीरा, टमाटर, प्याज और हरी पत्ते वाली सब्जी का कचुंबेर खाए.
- Dopahar ko bhojan karne ke badle kachche sabji jaise ki kheera, tamatar, pyaaj aur hari patte vali sabji ka kachumber khaaye.
- गेहू के आटे की रोटी ना खाए. चने का आटा और जौ के आटे का इस्तेमाल करे
- Gehu ke aate ki roti na khaaye. Chane ka aata aur jauu ka aata istemal kare.
- भारी भोजन करने के बदले आप सिर्फ़ हल्का और कम मात्रा में खाए. दिन में 2 बार भारी भोजन से 4-5 बार थोड़ा-थोड़ा खाना बेहतर है.
- Bhari bhojan karne ke badle aap sirf halka aur kam maatra mein khaaye. Din mein 2 baar bhaari bhojan se 4-5 baar thoda thoda khaana behtar hai.
इन सभी पेट की चर्बी कम करने के तरीके आसान तो है मगर समय लगता है और आप को परहेज पालना है. नमक कम करे, तले हुए और बाजारू चीज़ो का सेवन ना करे, शक्कर को बिल्कुल बाँध करे, धूम्रपान बाँध कर दे, शराब बहुत नियंत्रित मात्रा में पिए और पूरा नींद ले.
In sabhi pet ki charbi kam karne ke tarike aasaan to hai magar samay lagta hai aur aap ko parhej paalna hai. Namak kam kare, tale hue aur baajaaru cheezo ka sevan na kare, shakkar ko bilkul bandh kare, dhoomrapaan bandh kar de, sharaab bahut niyantrit matra mein piye aur poora neend le.
पेट की चर्बी कम करने के उपाय
अब जाने थोड़ा कठिन पेट की चर्बी कम करने के उपाय जिस के करने से वाकई आप के शरीर में परिवर्तन आएगा और आप और भी स्फूरतीले बन जाएँगे.Ab jaane thodasa kathin pet ki charbi kam karne ke upay jis ke karne se vakai aap ke sharir mein parivartan aayega aur aap aur bhi sfurtile ban jaayenge.
- अँग्रेज़ी में जिसे डीटॉक्स कहते है उस का प्रयोग सब से पहले करे ताकि आप के शरीर के सभी गतिविधि तेज बन जाए. डीटॉक्स माने विष हरण, इस के अलग तरीके है. सस्ता और अच्छा तरीका है की आप 2-4 दीनो के लिए उपवास करे और इस के दौरान सिर्फ़ गरम पानी पिए जिसमे डाला हो नींबू का रस, शहद, आद्रक का रस, काली मिर्च पीसी हुई और मोसंबी का रस या तो शहद. हो सके इतना गरम हो इसका दिन में हो सके. इतनी बार करे की शरीर में से विष निकल जाएँगे. अब इस के बाद आप सिर्फ़ फल और सब्जी और उबले हुए मूँग को आहार के रूप में ले थोड़े दीनो तक और देखिए कितना फ़र्क पड़ता है. Angrezi mein jise detox kehta hai us ka prayog sab se pehle kare taaki aap ke sharir ke sabhi gatividhi tej ban jaaye. Detox maane vish haran. Is ke alag tarike hai. Sasta aur achcha tarika hai ki aap 2-4 dino ke liye upvaas kare aur is ke dauran sirf garam paani piye jis mei dala ho nimbu ka ras, shahad, adrak ka ras, kala mirch pisi hui aur mosambi ka ras yaa to shahad. Ho sake itna garam ho iska din mein ho sake itni baar kare ki sharir mein se vish nikal jaayenge. Ab is ke baad aap sirf fal aur sabji aur uble hue moong ko aahaar ke roop mein le thode dino tak aur dekhiye kitna farak padta hai.
- हर रोज 2 घंटे तक तेज चलने का रखे तो पेट कम कैसे करे की समस्या का हल अपने आप निकल आएगा.
- Har roj 2 ghante tak tej chalne ka rakhe to pet kam kaise kare ki samasya ka hal apne aap nikal aayega.
- मोटापा कम करने के तरीके में एक तरीका यह है की आप इतना व्यायाम करे की आप का शरीर चर्बी को पिघालने लगे. इस के लिए एरोबिक्स करे 30 मिनिट्स तक वेट लिफ्टिंग करे और हो सके तो दौड़ लगाए. पेट कम करने के लिए व्यायाम बहुत ही ज़रूरी है. दवाई या जड़ी बूटी से ही हाल नहीं आता है.
- Motapa Kamm karne ke tarike mein ek tarike yeh hai ki aap itna vyaayaam kare ki aap ka sharir charbi ko pighaalne lage. Is ke liye aerobics kare 30 minutes tak weight lifting kare aur ho sake to daud lagaye. Pet kamm karne ke liye vyayam bahut hi jaroori hai. Dawai ya jadi booti se hi hal nahin aata hai.
- आहार के साथ व्यायाम हो तो अवश्य आप के मोटापे में फरक दिखाई देगा.
- Aahaar ke saath vyaayaam ho to avashya aap ke motape mein farak dikhai dega.
- पेट कम करने के लिए योगासन बहुत ही फयदेमंद है. सवेरे उठ के 20 मिनिट तक आप कोई एक या दो योगासन, जो आप के लिए अनुकूल है और आसान है वो ही करे. योगा में वक्रासना, भुजंगासन, त्रिकोनसन, पाशचिमोत्तासन, गरुर्ढआसन, उत्कतसना, अर्धचंदारसना और शलभासना जैसे आसान वजन नियंत्रण करने में और मोटापा कम करने में मदद रूप है, कई आसन कठिन है ज़्यादा उमर हो जाने पर इसीलिए जो आसान है वोहि करे, मगर नियमित करे.
- Pet kam karne ke liye yogasan bahut hi faydemand hai. Savere uth ke 20 minute tak aap koi ek ya do yogasan, jo aap ke liye anukul hai aur aasaan hai vohi kare. Yoga mein vakrasana, bhujangasan, trikonasana, paschimottasan, garudasana, utkatasana, ardha chandrasana aur shalabhasana jaise asan vajan niyantran karne mein aur motapa kam karne mein madad roop hai. Kai asan kathin hai jyaada umar ho jaane par isiliye jo aasaan hai vohi kare magar niyamit kare.
मोटापा कम करने के नुस्खे जो आप घर पर ही प्रयोग कर सकते है
Motapa kam karne ke nuskhe(वजन कम करने के तरीके) jo aap ghar par hi prayog kar sakte hai voh jaaniye:
- पेट कम करने का उपाय तो कई है और इस में से आप ग्वार पत्ती का रस सवेरे पीने की आदत डाले मगर ध्यान रखे की ताज़ा पत्ती में से बने और तुरंत पी ले और अधिक मात्रा में ना ले.
- Pet kam karne ke upay to kai hai aur is mein se aap gavar pata ka ras savere peene ki aadat daale magar dhyan rakhe ki taja patti mein se bane aur tuarant pee le aur adhik maatra mein na le.
- मोटापा कम करने के घरेलू नुस्खे में पाइपर मूल का उपयोग हितकारी होता है. इस का चूरणा बना के शहद या घीमें मिला दे और दिन में दो बार चाट ले
- Motapa kam karne ke gharelu nuskhe mein piper mool ka upyog hitkari hota hai. Is ka choorna bana ke shahad ya ghee mein mila de aur din mein do baar chaat le.
- मोटापा कम करना खेल बात नहीं है मगर कोई भी उमर में अगर आप खेल में जुड़ जाए जैसे की बेटमिंटन या टेन्निस या वॉली बाल अगर उमर ज़्यादा हो तो या तो फिर फुटबॉल या बास्केटबॉल (कम उमर वाले लोगो के लिए) तो आवश्या फ़ायदा होगा.
- Motapa kam karna khel baat nahin hai magar koi bhi umar mein agar aap khel mein jud jaaye jaise ki badminton ya tennis ya volley baal agar umar jyaada ho to ya to phir football ya basketball (kam umar vaale logo ke liye) to avashya fayda hoga.
- पेट कम करने के तरीके में एक तरीका यह है की मादुमालाती के जड़ को पीस के शहद में मिला के सेवन करे.
- Pet kam karne ke tarike mein ek tarika yeh hai ki madhumalti ke jad ko pis ke shahad mein mila ke sevan kare.
- मोटापा कैसे कम करे उस की चिंता ना करे बलके करौंदे का रस निकल के पीते रहिए.
- Motapa kaise kam kare (पेट की चर्बी कैसे कम करें) us ki chinta na kare balke karaunde ka ras nikal ke peete rahiye.
आयुर्वेदिक उपाय वजन कम करने के लिए और चर्बी पिघलने के लिए
मोटापा घटाने की दवा अगर कोई आप को बताता है तो कोई दावा कार्गरर नहीं है की गोली खाये और चर्बी बर्फ की तरह पिघल जाए. हन, आप मोटापा कम करने के आयुर्वेदिक उपाय का ज़रूर प्रयोग कर सकते है. आयुर्वेदिक जड़ी बूटी में आप कालोंजी, गुग्गूल, गिलोय, यष्टिमधु, अजवाइन, सवा के बीज, जीरा के बीज, पुदीना, वृक्षमला और कढ़ी पत्ते का उपयोग कर सकते. सभी जड़ी बूटी या तो 4-5 को पीस के मिला दे और दिन में दो बार प्रयोग करे. त्रिफला चूरना पाचन तंतरा को सुधारने के साथ पेट का मोटापा कम करने के उपाय में से एक श्रेष्ट उपाय भी है.Motapa ghatane ki dawa agar koi aap ko batata hai to aisi koi dava kargar nahin hai ki goli khaaye aur charbi barf ki tarah pighal jaaye. Haan, aap motapa kam karne ke liye Ayurvedic upay ka jaroor prayog kar sakte hai. Ayurvedic jadi booti mein aap sonth, kalonji, guggul, giloy, yashtimadhu, ajwain, sava ke beej, jeera ke beej, pudina, vrikshamla aur kadhi patte ka upyog kar sakte. Sabhi jadi booti ya to 4-5 ko pees ke mila de aur din mein do baar prayog kare. Triphala churna pachan tantra ko sudharne ke saath pet ka motapa kam karne ke upay, jaldi pet kam karne ke upay mein se ek shresht upay bhi hai.
यह घरेलू नुस्खे फॉर वेट लॉस इन हिन्दी जो आप पढ़ रहे है उन में और कई तरीके है जैसे की आहार में से अनाज को बिल्कुल हटा दे और सिर्फ़ फल, सब्जी, अंकुरित मूँग/चना/मटर और तेली बीज जैसे की बादाम, अखरोट, तिल और सिंग दाना का सेवन करे. दूध के बदले छाछ पिए या दही खाए या तो पनीर खाए.Yeh gharelu nuskhe for weight loss in Hindi jo aap padh rahe hai un mein aur kai tarike hai jaise ki aahar mein se anaj ko bilkul hata de aur sirf fal, sabji, ankurit moong/chana/matar aur teli beej jaise ki badam, akhrot, til aur singdana ka sevan kare. Doodh ke badle chaach piye ya dahi khaaye ya to paneer khaye.
TAGS : #gharelu nuskhe for weight loss in hindi #पेट कम करने के उपाय #pet kam karne ke gharelu nuskhe #मोटापा घटाने के घरेलू उपाय #jaldi pet kam karne ke gharelu upay #pet kam karne ke gharelu totkay #pet kam karne ki exercise #pet kam karne ka tarika #motapa kam karne ke upay #pet kam karne ka yoga #pet/motapa kam karne ke tips #home remedies for weight loss in hindi#मोटापा कम करने के घरेलू उपाय #मोटापा कैसे कम करें #motapa kam karne ka gharelu tarika #motapa kam karne ke liye yoga #पेट की चर्बी कम करने के उपाय #पेट का मोटापा कम करने के उपाय #पेट कम करने के तरीके #पेट की चर्बी कैसे कम करें #pet kam karne ke liye yoga aur tarike
No comments:
Post a Comment